RECENT

Monday, September 19, 2011

Ali : Ulfat Ki Sehar

शब्-इ-फुरक़त में तू अगर आए
ऐसा लगे जैसे सेहरा में समंदर उतर आए
संगदिल कोई मिला ना तुझ सा
हम तो देख  सारा शहर आए
दर्द मेरा तो लगा अब सोने
और वह कोई नश्तर नया ले आए
वक़्त-इ-रुखसत और कसम यह है
आँख में अश्क न नज़र आए
उम्र भर रही हसरत "अली" की
अपनी उल्फत की भी कभी सेहर आए
सलीका जीने का गुल यूँ हमे सिखाते रहे
के बीच काँटों  के रह कर भी हम मुस्कुराते रहे !!

_____________

Shab-e-furqat main tu agar aaye
aisa lage jaise sehra main samandar utar aaye
Sangdil koi mila naa tujh sa
hum to dekh  sara shehar aaye
Dard mera to laga ab sone
aur woh koi nashtar naya le aaye
Waqt-e-rukhsat  aur kasam yeh hai
aankh me ashq na nazar aaye
Umr bhar rahi hasrat "aLi" ki
Apni ulfat ki bhi kabhi seher aaye


Saleeka jeene ka gul yun hume sikhate rahe
K beech kaaton ke reh kar bhi hum muskurate rahe

~Syed Azmat Ali Alvi | स्येद अजमत अली अल्वी

No comments:

Enter your email address:
Delivered by FeedBurner

Arj Hai ! © FOLLOWERS