RECENT

Wednesday, November 26, 2008

Ali :: Hoton Pe Hansi !

कभी होती थी तनहाइयों में भी मेरे होटों पर हँसी,
आज महफिलों में भी मुझे दर्द-ऐ-दिल हुआ करता है.
मेरे जीने की आरजू करते थे मेरे दुश्मन भी कभी,
आज मेरा हमदर्द भी मेरी रुक्सती की दुआ करता है.

समझता था ख़ुद को खुशनसीब जिसे मेरे दिल में पनाह मिलती थी,
आज अश्क भी मेरी आंखों में ख़ुद को यतीम समझता है.
खूबसूरत होता था हर वो कलाम जो मैं कलम से लिकता था,
आज लहू से लिखा "एहसास" भी ख़ुद को अल्फाज़ समझता है.

कभी जीता था मेरा कातिल भी मेरी आशिकुई की उम्मीद में,
आज मेरा दिल भी मेरी ज़िन्दगी के लिए कहाँ धड़कता है.
क्या होती है बेवफाई ये तो कभी मालूम न था,
आज ज़र्रा ज़र्रा मेरा मोहब्बत के लिए तड़पता है.

~स्येद अजमत अली अल्वी

इतना रोशन था दिल मेरा मुझे सूरज की भी ज़रूरत न थी,
आज अँधेरी गलियों में " " रौशनी के लिए भटकता है.
कभी दिखती थी अपनी परछाई अंधेरों में भी मुझे,
आज मेरा ही साया मुझे उजालों तक में नहीं दीखता है.

सोचा था होगी मौत मेरी किसी अनजाने दुश्मन के हाथ से,
आज रहनुमा भी मेरा मेरे क़त्ल का शौक रखता है.
मेरा तो दिल रोता था दुश्मनों की भी मजार पर,
आज हर बावफा दोस्त मेरा मेरी ही कबर पे मिटटी रखता है.

कभी तपते रेगिस्तान की धूल में भी मैं गहरी नींद सोता था,
आज मेरा आशियाना भी मुझे सुकून से सोने नहीं देता है.
तेरा आँचल ही मेरी जानत था ‘माँ’ पर अब तू ख़ुद जन्नत में है,
रोना चाहता हूँ ‘माँ’ पर तेरे दर्द का एहसास रोने भी नहीं देता है.

~नाम छुप्पाया गया है
____________________________________________

Kabhi hoti thi tanhaiyon mein bhi mere hoton par hansi,
Aaj Mehfilon mein bhi mujhe dard-e-dil hua karta hai.
Mere jeene ki aarzoo karte the mere dushman bhi kabhi,
Aaj mera hamdard bhi meri ruksati ki dua karta hai.

Samajhta tha khud ko khushnaseeb jise mere dil mein panah milti thi,
Aaj ashq bhi meri aankhon mein khud ko yateem samajhta hai.
Khoobsoorat hota tha har wo kalaam jo main kalam se likta tha,
Aaj lahoo se likha "Ehsaas" bhi khud ko alfaaaz samjhta hai.

Kabhi jeeta tha mera qaatil bhi meri aashiqui ki umeed mein,
Aaj mera dil bhi meri zindagi ke liye kahaan dhadakta hai.
Kya hoti hai bewafaai ye to kabhi maloom na tha,
Aaj zarra zarra mera mohabbat ke liye tadapta hai.

~Syed Azmat Ali Alvi

Itna roshan tha dil mera mujhe suraj ki bhi Zaroorat na thi,
Aaj Andheri galiyon mein " " roshni ke liye bhatakta hai.
Kabhi dikhti thi apni parchayi andheron mein bhi mujhe,
Aaj mera hi Saya mujhe Ujaalon tak mein nahin dikhta hai.

Socha tha hogi Maut meri kisi anjaane Dushman ke haath se,
Aaj rehnuma bhi mera mere qatl ka shauk rakhta hai.
Mera to dil rota tha dushmanon ki bhi mazaar par,
Aaj har bawafa dost mera meri hi kabar pe mitti rakhta hai.

Kabhi tapte registaan ki dhool mein bhi main gehri neend sota tha,
Aaj mera Aashiyana bhi mujhe sukoon se sone nahin deta hai.
Tera Aanchal hi meri jaanat tha ‘Maa’ par ab tu khud jannat me hai,
Rona chahta hoon ‘Maa’ par tere dard ka ehsaas rone bhi nahin deta hai.

~Name Not Shown On Request

No comments:

Enter your email address:
Delivered by FeedBurner

Arj Hai ! © FOLLOWERS