फिर कोई दर्द नया है दिल में
जाने क्या toot गया है दिल में.
तेरा hasna तेरा gumsum rehna
तेरी हर एक अदा है दिल में.
muskuraati हैं tumhaari यादें
अच्छा maahol bana है दिल में.
लोग mujh से khafa हैं to रहें
मैं ये कहता हूँ izzat है दिल में.
हर किसी से मैं bhala कैसे कहूं
‘aLi’ क्या बात है,क्या है दिल में.
कल nadani में एक khata कर baitha
में अपने jeene की दुआ कर baitha.
____________________________________
phir koi dard naya hai dil mein
jaane kya toot gaya hai dil mein.
tera hasna tera gumsum rehna
teri har ek ada hai dil mein.
muskuraati hain tumhaari yaadein
achha maahol bana hai dil mein.
log mujh se khafa hain to rahen
main ye kehta hoon izzat hai dil mein.
har kisi se main bhala kaise kahoon
‘aLi’ kya baat hai,kya hai dil mein.
Kal nadani mein ek khata kar baitha
mein apne jeene ki dua kar baitha.
Friday, November 28, 2008
Ali :: Har Kisi Se Main Bhala Kaise Kahoon
Creation Of M a v e r i c k ! at Friday, November 28, 2008
Labels: Syed Azmat Ali Alvi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


0 comments:
Post a Comment