दिल को कहीं सुकून ना आये तो क्या करे,
तासीर किसी ग़म की रुलाये तो क्या करे.
रातों में तो ख़्वाबों में मुलाकात कर भी ले,
दिन को तुम्हारी याद सताए तो क्या करे.
हालात गरीबी के मेरे कुछ बुरे नही,
दौलत कोई ईमान को बनाए तो क्या करे.
फितरत में नही अश्क बहायें ,
मजबूरी ऐ हालात रुलाये तो क्या करे.
पहरों किसी के वास्ते रोता है दिल मेरा ,
आ कर कोई इस दिल से ना जाए तो क्या करे.
कहते हैं लोग भूलना सीखो मिया अली ,
हम चाह के भी भूल ना पाए तो क्या करे ...
आरज़ू अरमानों की तमन्ना न रही,
एक ख्वाहिश बाकि है उम्मीद के चिराग से.
न करो जुस्तुजू किसी की दिल ओ जान से तुम,
मिलती है तकदीरे भी यहाँ इत्तेफाक से...
______________________________________
Dil ko kahin sukoon naa aaye to kya kare,
taseer kisi gham ki rulaaye to kya kare
raaton mein to khwaabon mein mulakaat kar bhi le,
din ko tumhari yaad sataaye to kya kare
halaat gareebi ke mere kuch bure nahi,
daulat koi imaan ko banaaye to kya kare
fitrat mein nahi ashq bahaayein,
majboori e halaat rulaaye to kya kare
pahro kisi ke vaaste rota hai dil mera,
aa kar koi is dil se naa jaaye to kya kare
kehte hain log bhoolna sikho miya aLi,
hum chaah ke bhi bhool naa paaye to kya kare...
Aarzoo armaanon ki tamanna na raahi,
Ek Khwahish baki hai ummeed ke chirag se
Na karo justuju kisi ki dil o jaan se tum,
Milti hai taqdeere bhi yahan ittefak se...
~स्येद अजमत अली अल्वी
[Syed Azmat Ali Alvi]
3 comments:
Keep it up.
Nice work dude.
Maine shayaris likhi thi kuch
Arz hai:
Lavjon men mohabbta bayan nahin hoti;
Har sakhs pe mohabbat menarban nahi hoti;
Lahar dekhte hi dagmagaye jo kashti;
Mukaam uski hamraah nahi hoti!!!!!!!!!
More are there
we will have them later
@Rinku: If you are a shayar yourself. You can be part of Arj-Hai. Please keep posting them. :-)
mere dil kay jajbat ko nazar say dil ki dekha karo, ik nazar aisi bhi rakho us nazar say dekha karo
Post a Comment