RECENT

Wednesday, November 28, 2007

Gulzar :: Shaam Se Ankh Mein !

शाम से आंख में नमी सी है,
आज फिर अप की कमी सी है ।

दफन कर दो हमें के सांस मिले,
नब्ज़ कुछ देर से थमी सी है ।

वक्त रहता नही कहीं छुप कर,
इस की आदत भी आदमी सी है ।

कोई रिश्ता नही रहा फिर भी,
इक तस्लीम लाज़मी सी है ।

Shaam se ankh mein nami si hai,
aj phir ap ki kami si hai.

dafn kar do hamain ke saans miley,
nabz kuch deer se thami si hai.

waqt rehta nahi kaheen chup ker,
is ki adat bhi admee si hai.

koi rishta nahi raha phir bhi,
ik tasleem lazmi si hai.

~Gulzar

No comments:

Enter your email address:
Delivered by FeedBurner

Arj Hai ! © FOLLOWERS