RECENT

Tuesday, June 17, 2008

Ali :: Talaash Mein !

मैं राही अकेला था खुशियों की तलाश में,
न जिस्ट कोई साथ मेरे इस कैनत में,

दर दर रहा भटकता मैं कई रास्तों पर,
जो भी मिले थे मसरूफ अपनी ही तलाश में,

दिल ने कहा छोड़ दे उम्मीद तू अब खुशी की,
चुप कर इस आस को निकले घूम की तलाश में,

राहें आती गयी मंजिलें जाती गयी हम चलते गए,
तलाश में थे जिस तलाश की वह आई न राह में,

क्या करे इस तलाश को अब हम रोक भी नहीं सकते,
रास्ता भटक गए इस तलाश की तलाश में,

यह कैसे कश्मकश में तुम फस गए ‘अली’,
कोई हम को भी तलाशे जो खो जाये इस तलाश में...

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Main raahi akela tha khushiyon ki talaash mein,
Na jist koi saath mere is kaainat mein,

Dar dar raha bhatakta main kai raaston par,
Jo bhi mile the masroof apni hi talaash mein,

Dil ne kaha chhod de umeed tu ab khushi ki,
Chupa kar is aas ko nikle ghum ki talaash mein,

Raahein aati gayi manzilein jaati gayi hum chalte gaye,
Talaash mein the jis talaash ki woh aayi na raah mein,

Kya kare is talaash ko ab hum rok bhi nahi sakte,
Raasta bhatak gaye is talaash ki talaash mein,

Yeh kaise kashmokash mein tum phas gaye ‘aLi’,
Koi hum ko bhi talashe jo kho jaye is talaash mein...

No comments:

Enter your email address:
Delivered by FeedBurner

Arj Hai ! © FOLLOWERS